Manzil
Manzil
dreamy
Nadi ko lagta tha ki wo sagar ban jayegi,
Toh usse apni manzil mil jayegi.

Usse maloom nahi tha, 
Ki wo baarish ban ne ke qaabil hai.

Lehron ke aage bhi ek manzil hai,
Khair nadi behti rahi mujhse ye kehti gayi.

Ki tune jo socha hai mukaan jisko samjha, hai uss Sagar ke paar bhi ek aasmaan hai.

Jo tere sapno se bada hai,
Jaanta hu ki kalpana karna mushkil hai.

Jaanta hu ki kalpana karna mushkil hai, 
Par teri manzil se zyada tu qaabil hai. 

   Teri manzil se zyada tu qaabil hai,
   teri manzil se zyada tu qaabil hai.